Ghazal

1.Pyar mein main bhi subah ko sham likhne laga hon,
Har deewaron pe tera naam likhne laga hon.

Ab chun chun kar kore kagaz ke tukdo ko,
Sab pe tere ishq ka paigam likhne laga hon.

Zamane se chori chori chupke chupke nahin,
Ke dil ki baaten main khuleaam likhne laga hon.

Kai roz se beqarari aur bebasi ko,
Jane yaaron kyun aram likhne laga hon.

Mohabbat ke nashe mein jhoom jhoom kar mere sanam,
Teri hothon ko main to jam likhne laga hon.

==========================================================
2. Zameen pe utar aaya hai mera chand yaaron,
Lao pooja ki thali is ki aarti utaro.

Kaliyon se bhi komal hain har aang is ke,
Chot lag jayegi ise phool se bhi na maro.

Yeh jo rooth kar chala gaya aasman par,
To khade khade hi loot jaoge yaaron.

Dekh kar ise kaheen dum na nikal jaye,
Zara dil tham kar hi dekhna, kunwaron.

Sun li Rab ne humari fariyad aaj,
Mil gayi Devdas ko us ki paaro.
==========================================================

3. Lahron mein sangeet hai aap se,
Har labon pe geet hai aap se.

Nafrat bhara is jahan mein,
Ab to bus preet hai aap se.

Aaj ke saath saath dilbar,
Mera pyara ateet hai aap se.

Na koi zaat, majhab pyar ka,
Yeh purani reet hai aap se.

Kisi se na kabhi harne wala,
Meri to jeet hai aap se.
==========================================================


4.Ek deewana ko us ki deewani mil gayi,
Yaar mujhe mere sapno ki rani mil gayi.

Ba ummid azal ki jeer aha tha main to yahan,
Par mujhe aaj meri zindagani mil gayi.

Dil dheere se dhadak raha tha kayi roz se,
Ab dhadkano ko baza rawani mil gayi.

Maine tanha likha tha jo afsana pyar ka,
Aaj wahi sunder prem kahani mil gayi.

Alvida kah kar bachpan chala gaya,
Nayi umang bhari jawani mil gayi.

==========================================================
5. Dil ki kaliyan jane kab bahar ban gayin,
Who ladaiyan, jhagden jane kab pyar ban gayin.

Akhiyan rasta dekhe har pal apne dilbar ka,
Dil ki bechainiyan jane kab qarar ban gayin.

Dhadkano ko bhi har ghadi usi ki zaroorat hai,
Meri umra to us ke liye intezar ban gayi.

Hum jeet kar bhi sab kuch har gaye sanam,
Humari jeet jane kis tarah haar ban gayi.
==========================================================

6. Nazron ka youn sharmana,
Haye kya kahega zamana.

Pahle pyar se dekhna,
Phir palkon ka jhookana.

Dekh kar teri adaon ko,
Dil ho jayega deewana.

Ban kat nasha pyar ka,
Dilo dimag pe youn chhana.


Bela izajat youn hi,
Mere dil mein samana.
==========================================================

7.Tikhi nazar se dil pe war mat kijiye,
Hosh kho baithen hume itna pyar mat kijiye.

Waise to beqarari mein sari raat gujarti hai,
Bechain dil ko aur beqarar mat kijiye.

Ishq karne walon se sari duniya jalti hai,
Is jahan mein mera jeena dushwar mat kijiye.

Zindagi aur khushi to rab ki zaat se hain,
Rab se bhi ziyada humara aitbar mat kijiye.

Ke duniya shak kar baithegi hum pe,
Rahon mein baith kar humara intezar mat kijiye.

==========================================================
8.Jal raha hai tan badan tu aaja,
Hosh mein nahin hai dhadkan tu aaja.

Bujhti nahin duniya ke paani se,
Ajib si lagi hai agan tu aaja.

Lakh samjhaon par bairi mane na,
Bus mein nahin hai mera mann tu aaja.

Adhoori rah na jaye zameen tumhari,
Puri kar ne ban kar gagan tu aaja.
==========================================================

9.Chahat mein jee kar, mar ke dekhiye,
Pyar ka cheez hai, khud kar ke dekhiye.

Door se dekhne mein maza nahin aata,
Aankhon se dil mein utar ke dekhiye.

Agar kuch dekhna hi hai duniya mein,
To nazaren prem nagar ki dekhiye.

Sari duniya ki khushiyan mil jaye,
Pyar ko bajuon mein bhar ke dekhiye.
==========================================================


10.Yeh zameen chalna bhool jaye aap ko dekh kar,
Mausam badalna bhool jaye aap ko dekh kar.

Shama ki chahat mein jan boojh kar jalne wala,
Parwana jalna bhool jaye aap ko dekh kar.

Ashiq hain sab aap ke husn ke jan lijiye,
Sooraj bhi dhalna bhool jaye aap ko dekh kar.

Dekh kar aap ko kabhi nasha utarta hi nahin,
Hum samhalna bhool jaye aap ko dekh kar.

==========================================================
11.Teri duniya mein khona chahta hon,
Sada ke liye tera hona chahta hon.

Ek pal bhi tujh se door nahin rahna,
Tere gesuon ke tale sona chahta hon.

Ji bhar ke apna pyar mujh pe barsao,
Main khud ko pyar se bhigona chahta hon.

Chand jaisa muskurata chehra tumhara,
Aur roop aisa hi salon chahta hon.

Bahut pahle se choon liya hai maine,
Kisi aur ka hokar nahin rona chahta hon.

==========================================================
12..Ab saha na jaye dard-e-jigar Rabba,
woh kabhi yaad na aaye kuch kar Rabba.

Bhool kar bhi use bhoola nahin pata main,
Tadpaye us ki yaaden shamo saher Rabba.

Tu kyun utrega falaq se mere liye,
Mujhe hi boola le asman par Rabba.

Dawa to kuch kaam karta hi nahin ab,
Ke duaon ka bhi ho kuch aser Rabba.

Ke thukra diya mere pyar ko us ne,
Kis ki lag gayi boori nazar Rabba.

Abad rahe hamesha duniya us ki,
Dua mein yaheen mangon main raat bhar Rabba.

==========================================================

13.Is nadan dil ko kaise samjhayen hum,
Chah kar bhi aap aap ko na bhoola paye hum.

Sirf aap ke liye mera dil rootha hua hai,
Aap hi bataiye kaise ise manaye hum.

Mere naseeb mein to nafrat ki suniya hai,
Mohabbat ka ghar kaise basayen hum.

Jab koi suntan hi nahin mere dard bhare geet,
To paglon ki tarah kyun gun gunaye hum.

Pahle bhi jigar pe chot khali hai maine,
Ab aur sanam kitni chot khaye hum.
==========================================================

14.Zaher meri zindagi mein bhar gaye tum,
Ke mere bishwas ka khoon kar gaye tum.

Sang jine marne ki kasamein khane wale,
Ghareeb jan kar mujh se mukar gaye tum.

Main to pyar mein toot kar bikhar hi gaya,
Mubarak ho ishq mein sawar gaye tum.

Chahon mein main, bahon mein koi aur tha,
Us ne jidhar kaha udhar gaye tum.

Na de baad dua tumhe kabhi yeh dil mera,
Na kahe kabhi mere liye mar gaye tum.
==========================================================

15.Tere bin karwaten badal kar gujarte hain raaten,
Teri yaad mein dilruba jal kar gujarte hain raaten.

Raat mein kabhi aangan mein jaye, kabhi chat ke upar,
Chand jaise chup kar, nikal kar gujarte hain raaten.

Judai ka gham hai kabhi kabhi pee liya karte hain,
Bus tumhare liye samhal kar gujarte hain raaten.

Mere dil mein is kadar chahat ki aag laga gayi,
Ke usi aag se pighal kar gujarte hain raaten.

==========================================================
16. Ek dard bhari kahani de gayi,
Dard-e-dil pyar ki nishani de gayi.

Thi ummid us se chahat ki mujhe,
Par nafrat manmani de gayi.

Mohabbat mein maut na dekar mujhe,
Zillat bhari zindagi de gayi.

Nao koi umang, na koi khushi ho jis mein,
Yaaron mujhe aisi who zindagani de gayi.

Labon ka muskan dikha kar hume,
Aankhon mein kitna pani de gayi.

==========================================================
17. Dil jane, dil se nikalti aah jane
Kyun use bhoola nahin pata Allah jane.

Kiya hai dil todne ka gunah jis ne,
Bus who jane aur us ka gunah jane.

Kaisi chahat ki talash thi use jahan mein,
Us masoom ki lalach bhari chah jane.

Chahat ka kaisa jadoo chalaya mujh par,
Rabba us ka shokh gairat-e-mah jane.

Bich safar mein saath chod diya us ne,
Yeh kah kar ke main janon, meri raah jane.
==========================================================

18.Meri tarah woh bhi loot jaye,
Rab kare us ka bhi dil toot jaye.

Us ne mera saath chod diya,
Us ka saath bhi kisi se choot jaye.

Ghar ka na ghaat ka rahe woh Khudaya,
Kismat hi us ka rooth jaye.

Nahin kiya us ne yakeen mera,
Viswas us par se bhi sab ka uth jaye.

==========================================================

19.Beshak lambe arse ke baad aayi thi,
Kal phir bewafa ki yaad aayi thi.

Banakar kangal mujhe pyar mein woh,
Magne mujh se woh imdad aayi thi.

Khair pal do pal ke liye hi sahee,
Ho kar duniya se azad aayi thi.

Pochhna hi bhool gaya na jane yaaron,
Lekar kaun si moorad aayi thi.
==========================================================

20. Tumhare liye tadpen aur aansoo bahayen,
Dua karma us se pahel hum mar jayen.

Agar tod kar humare sapno ka mahal,
Duniya mein tumhare saath koi ghar basaye.

Halat itne majboor kar de hum dono ko,
Ke ek dusre se aankhen bhi na mila payen.

Mar mite hain tum par chahat ki kasam,
Meri tarah koi tum par jaan lootaye.
==========================================================